Tuesday, July 10, 2007

Baatein

Chaurahon pe khade log aksar
Baatein karte hain
Kabhi chand ki sitaron ki
Kabhi bichde huey yaron ki
Behti hui hawaon ki
Guzri hui bahaaron ki

Kuch ban.tey hain khud nazaare
Kuch baatein karte hain nazaaron ki
Adh jhuki palkon ki
Aankhon se huey isharon ki

Baatein liye dhoop ki tapish
Kabhi nami phuharon ki
Aati hui lehron ki
Doobtey huey kinaron ki

Achi lagti hain hame wo saari baatein
Siwaye jab wo poochte hain

Hamse hamaron ki