Monday, April 21, 2008

Wo khud parasti au fir poochna mera
Ke akhir iss berukhi ka sabab kya hai

Daur-o-dastoor se rahun begaana
Main nahin jaanta adab kya hai

khatawar hun, mujhko jo chahe do saza
mat socho bamuujib deen-o-mazab kya hai

rahe jo iss husn ke aage be-sazda
wo sar bhi kat jaye to gazab kya hai