Thursday, April 12, 2007
Bhoot hun main
shunya se jab jeevan nikal gaya
to baki reh gaya kaal
jhoot, paap aur bhay ka janjaal
maut jahan nigalti jeevan ko
aise bhayawah shamshanon mein
ghor ghane biyabanon mein
barfeeli sard chattanon mein
soonsaan makanon mein
rehta main har jagah hun
milta par kahin nahin hun
paida hota mann mein
mann ka par main waham nahin hun
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
bahut khoob :)
Post a Comment